Bil Qalam

Poetry, my thoughts in the shape of poetry. The reflections of my soul. Also my thoughts appeared in drawing and sketching.

Saturday, May 20, 2006

Write a letter to your brother thanking him for the gift.

Aaj mujhay woh din yaad aa rahay hain jab ham dono bhai aik saath aik chhat talay rehtay thay. Aur main sochta tha keh tum meray bhai nahi dushman ho. Yeh misl Sag-e bash baradar-e khurd mubash mujh par sadiq aati thi. Jab main tumharay depression ka takhta mashq hota tha. Tumhari flying kicks meray ird gird sai guzar jati theen. Tumharay Judo kay punch aksar meri naak ki nok par ruktay thay aur kabhi nahi ruktay thay tu kanpatiyan aa jateen.

Phir tum talash-e rozgar mein Karachi chalay gaye tu main samjha keh ab main khud mukhtar hoon. Magr jald hi mujhay ehsaas ho geya keh tum nay ghar ka aur Ammi ka kitna bojh bataya howa tha. Jab mujhay din mein char char martaba market kay chakkar lagana paRday tu mera dimagh darust ho geya. Phir aik mah baad hi tum nay mujhay T-Shirt ka tuhfa bheja tu meray nazareyat tabdeel honay lagay. Jab tum yahan hotay thay tu aksar tumhari nayi shirtoon par haath saaf karnay mein bara mazza ata tha. Chahay iskay badlay tumhara aik ghoonsa hi khana paRd jata tha. Du mah baad tum milnay aaye tu mujhay jatay hoye aik behtareen jeans khareed kar dai gaye. Main kafi badal geya aur aaj jab tum nay nayi T-shirts ka parcel bheja hai tu meri aankhoon mein aanso say aa gaye hain. Shayad yeh tashakur kay aansu hain ya is dabi hoyi muhabbat kay jo hamaray diloon mein beej ki tarha dabi rehti hai. Magar hawa saazgar patay hi mausam badaltay hi is mein say namood shuroo ho jati hai.

Yaqeen janu main tumharay janay kay baad kangaal sa ho geya tha. Aaj esa lagta hai mujhay meri pehli tankhuwa mili hai. Meri tu mojain ho gayi hain.

Shukriya Harris Bhai.

Abdullah.

0 Comments:

Post a Comment

<< Home